Bimal Krishn Ashk

chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
chāñd ko reshmī bādal se ulajhtā dekhūñ
vo havā hai kabhī āñchal kabhī chehrā dekhūñ
dekhne niklā huuñ duniyā ko magar kyā dekhūñ
jis taraf aañkh uThā.ūñ vahī chehrā dekhūñ
us ke chehre se lapak uTThe to lau tham jaa.e
dil meñ hasrat hai darīcha vahī khultā dekhūñ
dā.era khīñch ke baiThā huuñ baḌī muddat se
ḳhud se niklūñ to kisī aur kā rasta dekhūñ
ye vo darvāza hai kholūñ to koī aa na sake
aur agar band karūñ dil hī meñ duniyā dekhūñ
vo ajab chiiz hai us kā koī chehra hī nahīñ
ek pardā jo uThe dūsrā pardā dekhūñ
vo chakā-chauñd se niklegā na ghar se koī
dhuup agar chhiTke vo hañstā huā chehra dekhūñ
merā saaya ho ki maiñ koī to dhokā hai zarūr
ghar meñ ā.īna ki ghar se pare dariyā dekhūñ
koī phal-phūl nahīñ maġhribī chaTTānoñ par
chāñd jis gaañv se ugtā hai vo duniyā dekhūñ
rāt-bhar roke bhī bujhtī nahīñ siine kī tapish
kabhī yuuñ ho ke sirhāne ko sulagtā dekhūñ
'ashk' kuchh baat hī karne kā bahāna mil jaa.e
us ke chehre pe agar yaas kā saayā dekhūñ
Top Urdushayar.com