Bimal Krishn Ashk

dhul aankhon mein paDi ho jaise

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
dhuul āñkhoñ meñ paḌī ho jaise
har koī aur koī ho jaise
saa.e ke saath lage rahte haiñ
ye bhī apnā hī koī ho jaise
paañv phailā.e paḌī hai ummīd
muddatoñ pau na phaTī ho jaise
apnī har baat pe hotā hai gumāñ
ham ne pahle bhī kahī ho jaise
hañsne lagte haiñ to dhamkātī hai
zindagī ham se baḌī ho jaise
dard ko ajnabī kahne vaale
tū ne āvāz na dī ho jaise
pau phaTe ḳhush haiñ ki vo aa.egā
aaj kī raat abhī ho jaise
haa.e vo niiñd uḌātī āñkheñ
ḳhvāb meñ umr kaTī ho jaise
is tarah aayā hai milne mujh se
mujh se milte hī banī ho jaise
har kisī chehre se uThtī hai lapak
shahr meñ aag lagī ho jaise
dil meñ utre to chhupā kar rakhiye
raat hiire kī kanī ho jaise
hijr kī raat aur 'ashk' itnī sust
vaqt kī choT lagī ho jaise
Top Urdushayar.com