Bimal Krishn Ashk

guzri raaton ke tasalsul se koi kya nikle

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
guzrī rātoñ ke tasalsul se koī kyā nikle
ham jise terī tarah chāheñ tujhī sā nikle
jaise vo jaan nazar aañkh jhapaktā nikle
raat kī kokh se aisā koī taarā nikle
us pe kyā jāniye kyā kyā na guzartī hogī
tum to ye soch rahe ho vo idhar aa nikle
chup raho ik do-ghaḌī ke liye rone vaalo
ain mumkin hai koī hañstā huā aa nikle
raah meñ phuul khileñge to chubhan bhī hogī
ghar meñ baiThūñ to mirī aañkh kā kāñTā nikle
raat jaltī hai sulagte hue sahrā kī tarah
dard agar ho to kisī aañkh se dariyā nikle
Top Urdushayar.com