Bimal Krishn Ashk

wo KHamushi hai ki KHud se Dara hua hun main

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
vo ḳhāmushī hai ki ḳhud se Darā huā huuñ maiñ
pata nahīñ kise āvāz de rahā huuñ maiñ
kuchh aise Dhab se ghaTā hai ga.e dinoñ meñ chāñd
mire ye dhyān paḌā hai ki miT rahā huuñ maiñ
palaT rahūñgā abhī ghar bahut udaas na ho
pahāḌiyoñ se guzartī huī sadā huuñ maiñ
huī jo shaam to dil meñ udāsiyāñ utrīñ
charāġh jalne lage haiñ to bujh gayā huuñ maiñ
vahī shabāb vahī bekasī kabhī pahle
gumān hai ki isī raah se gayā huuñ maiñ
vo ek jism vahī kau.dtā lapaktā jism
ki jis ke rañg kī nisbat se jogiyā huuñ maiñ
kabhī kabhī mire sapnoñ ko chhīn letī hai
vo ik nigāh ki jis kā luTā huā huuñ maiñ
laboñ pe tark-e-ta.alluq kī baat aate hī
har ek zaḳhm pukārā abhī harā huuñ maiñ
kuchh aise Dhab se mujhe log 'ashk' kahte haiñ
ki apne naam se begāna ho chalā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com