kidhar jā.ūñ kahīñ rastā nahīñ hai
kahāñ Dūbūñ ki dil dariyā nahīñ hai
idhar bādal kabhī barsā nahīñ hai
jahāñ tak shāḳh hai patta nahīñ hai
use chhat par khaḌe dekhā thā maiñ ne
ki jis ke ghar kā darvāza nahīñ hai
vahī hai ghoñsla chimnī ke pīchhe
magar chiḌiyoñ kā vo joḌā nahīñ hai
badan ke loch tak āzād hai vo
use tahzīb ne bāñdhā nahīñ hai
tire hoñToñ ko chhū dekhūñ to kahiyo
mire hoñToñ meñ kyā aisā nahīñ hai
badan Dhāñpe hue phirtā huuñ yaanī
havas ke naam par dhāgā nahīñ hai
sabhī insāñ farishte ho ga.e haiñ
kisī dīvār meñ saaya nahīñ hai
maiñ is darja muazzaz ho gayā huuñ
vo mere sāmne hañstā nahīñ hai