Bimal Krishn Ashk

chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
chāñd ko reshmī bādal se ulajhtā dekhūñ
vo havā hai kabhī āñchal kabhī chehra dekhūñ
dekhne niklā huuñ duniyā ko magar kyā dekhūñ
jis taraf aañkh uThā.ūñ vahī chehra dekhūñ
dā.era khīñch ke baiThā huuñ baḌī muddat se
ḳhud se niklūñ to kisī aur kā rasta dekhūñ
ye vo darvāza hai kholūñ to koī aa na sake
aur agar band karūñ dil hī meñ duniyā dekhūñ
vo ajab chiiz hai us kā koī chehra hī nahīñ
ek parda jo uThe dūsrā parda dekhūñ
vo chakā-chauñd hai niklegā na ghar se koī
dhuup agar chhiTke vo hañstā huā chehra dekhūñ
merā saaya ho ki maiñ koī to dhokā hai zarūr
ghar meñ ā.īna ki ghar se pare dariyā dekhūñ
koī phal phuul nahīñ maġhribī chaTTānoñ par
chāñd jis gaañv se ugtā hai vo duniyā dekhūñ
Top Urdushayar.com