un kī god meñ sar rakh kar jab aañsū aañsū royā thā
kuchh lamhe guzre vo lamha merī āñkhoñ se guzrā thā
ai sāTan ke niile pardo tum par ye kis kā saaya hai
kyā mujh ko kuchh vahm huā hai yā sach-much koī aayā thā
jaise darvāza vā kar ke niklā hai koī kamre se
jaise ik do lamhe guzre sofe par koī baiThā thā
sach sach kahnā ai dīvāro ai tasvīro jhuuT na bolo
āḳhir hai tū us kamre meñ jis ne us kā naam liyā thā
tum to kuchh aise bhuul ga.e ho jaise kabhī vāqif hī nahīñ the
aur jo yūñhī karnā thā sāhab kis liye itnā pyaar kiyā thā
aaj to sarsoñ kā pīlā-pan agnī bhartā hai tan man meñ
ek samay thā jab yahī mausam khet khet pyārā lagtā thā
ek purāne giit kī dhun ne guzrī yādeñ yaad dilā diiñ
dāman ko ashkoñ se bhigo.e ek zamāna biit chalā thā