Javed Shaheen

raKHt-e-safar ko khol kar ab hun qayam ke qarib

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
raḳht-e-safar ko khol kar ab huuñ qayām ke qarīb
dhuup ke dasht se pare qariya-e-shām ke qarīb
shāḳh se khīñch kar mujhe laa.ī hai bhuuk ḳhaak par
rizq uThā.ūñ kis tarah rakkhā hai daam ke qarīb
pūchhā jo maiñ ne kaun hai hurmat-e-lafz kā amiiñ
us ne kahā ye bojh hai tere hī naam ke qarīb
ye din jo puurā vast se hai mire ghar ke sehn meñ
is kī sahar hai dar ke paas shaam hai baam ke qarīb
ye jo haiñ zard sā.ateñ sabza hai un kī nok par
ye jo safed chup sī hai ab hai kalām ke qarīb
kitnī imārateñ khaḌī kī haiñ havā ko khod kar
'shāhīñ' ye kaam to nahīñ phir bhī hai kaam ke qarīb
Top Urdushayar.com