agar tujh se huuñ to phir aur kyā huuñ
maiñ kis jaisā huuñ kis kis se judā huuñ
mujhe ma.alūm hai kitnā burā huuñ
ye kyā kam hai ki apnā aa.ina huuñ
koī dīvār sī TuuTī hai shāyad
maiñ andar hī kahīñ girne lagā huuñ
kabhī to sāmne ā.ūñgā apne
ki apnī raah meñ kab se khaḌā huuñ
mujhe ehsās ne gherā huā hai
maiñ apne-āp apnā dā.era huuñ
ye merā haath kis ke haath meñ hai
ye kis ke paañv haiñ jin par khaḌā huuñ
mire alfāz patthar ho ga.e haiñ
maiñ apne haath se zaḳhmī huā huuñ
ḳhud apne-āp ko āvāz de kar
na jaane 'ashk' kis ko DhūñDhtā huuñ