Bimal Krishn Ashk

nai paud ke soch-mahal mein uTThin nai nai diwaren

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
na.ī paud ke soch-mahal meñ uTThīñ na.ī na.ī dīvāreñ
jaise ghar vaale vaisā ghar jaisā ghar vaisī dīvāreñ
kis se gilā kareñ vo yā maiñ āḳhir rañj nijī hotā hai
us tak us kī raah kī miTTī aur mujh tak merī dīvāreñ
ka.ī baat to ghar meñ leTe leTe dam ghuTne lagtā hai
aage pīchhe baḌhtī ghaTtī rahtī haiñ ghar kī dīvāreñ
har din ham banjāroñ aisā koī safar kar ke dekhe to
paañv tale dhañstī sī dhartī kāñdhoñ par pakkī dīvāreñ
mujh ko hattyārā mat kahnā merā lahū hai un hāthoñ par
jin hāthoñ par rok rahā huuñ chār-taraf girtī dīvāreñ
laakh badalnā chāho lekin maañ ko maañ kahte bantī hai
miTTī vahī vahī hai dhartī badal ga.iiñ pichhlī dīvāreñ
'ashk' koī hai mujh meñ jo din chaḌhte chaḌhte Dah detā hai
raat ga.e tak chunī huī be-hañgam miTTī kī dīvāreñ
Top Urdushayar.com