Bimal Krishn Ashk

aise mein roz roz koi DhunDta mujhe

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
aise meñ roz roz koī DhūñDtā mujhe
āvāz de rahī thī udhar kī havā mujhe
aisā huā ki ghar se na niklā tamām din
jaise ki ḳhud se aaj koī kaam thā mujhe
parde ke ās-pās koī baaġh hī na ho
khiḌkī khulī to phuul kā dhokā huā mujhe
ye peḌ jis pe phuul na pattī na Tahniyāñ
das biis saal ba.ad jo ḳhud sā lagā mujhe
maiñ aaj bhī vahī huuñ vafā thī jise aziiz
fursat mile to aa ke kabhī dekh jā mujhe
āñkhoñ meñ dil utar paḌā ā.īna dekh kar
aayā thā ik ḳhayāl bahut duur kā mujhe
ye fikr aa paḌī hai ki badle ga.e na hoñ
saa.e se kah rahā huuñ zarā dekhnā mujhe
kahte haiñ yār-dost agar bevafā kaheñ
ai 'ashk' āñsuoñ ne bhī kyā de diyā mujhe
Top Urdushayar.com