nahīñ ki maiñ thā mire dhyān meñ nahīñ aayā
kuchh itnā paas thā pahchān meñ nahīñ aayā
vafā na tār-e-garebāñ ne kī nazar kī tarah
nikal gayā to garebān meñ nahīñ aayā
chhupā chhupā sā phirā dard muskurāhaT meñ
jo saath the unheñ pahchān meñ nahīñ aayā
hazār baar tasavvur ke shahr se guzrā
vo ek sher jo dīvān meñ nahīñ aayā
ham 'ashk' DhūñDte phirte the kyā yahī chehra
ki mil gayā hai to pahchān meñ nahīñ aayā