khule jo aah meñ bāb-e-asar na pahchāne
ḳhushī kā rañg ġham-e-mo'tabar na pahchāne
uḌe jo chiil to dekhe lahū kī jhiil meñ aks
shafaq Dhale to sharīk-e-safar na pahchāne
ugeñ jo phuul to dhartī bhalī bhalī sī lage
zamīñ kā dard-e-tasavvur magar na pahchāne
havas ki ziist kare rail ke safar kī tarah
safar ke ba.ad sharīk-e-safar na pahchāne
tamām-rāt kā jaltā huā diyā na bujhe
shab-e-firāq naved-e-sahar na pahchāne
nigāh jaatī to hai ruk na jā.iyo us paas
palaT bhī aa.iyo jo vo nazar na pahchāne