jo barf-zār chiir de aisī kiran bhī lā
patthar diloñ meñ aaj koī kohkan bhī lā
is tarah sarsarī mirā bāb-e-vafā na likh
vaqt-e-shumār zaḳhm mirā ḳhasta-tan bhī lā
munsif agar banā hai to sab ko gavāra rakh
insāf hai to merā phaTā pairahan bhī lā
jalne lage haiñ pyaas se phūloñ ke ḳhushk hoñT
abr-e-bahār ko zarā sū-e-chaman bhī lā
chup-chāp ḳhalvatoñ meñ pighalne se fā.eda
koī charāġh hai to sar-e-anjuman bhī lā
itnā vo shādmāñ mujhe achchhā nahīñ lagā
is gul ke dil meñ daaġh kī thoḌī jalan bhī lā
zaḳhm-e-safar ke dard-e-musalsal kā sehr toḌ
niklā huā vatan se ġharīb-ul-vatan bhī lā
ye chashm-e-iltifāt hī kaafī nahīñ mujhe
mere liye to narmī-e-kām-o-dahan bhī lā
'shāhīn' se aziiz hai apnā lahū to kyā
na.ash-e-shahīd ke liye ḳhūnīñ kafan bhī lā