dil ai dil ye tarz nahīñ kuchh ishq ke ohde-dāroñ kī
sunte ho majbūroñ kī aur kahte ho muḳhtāroñ kī
phir maujoñ se chīḳh sī uTThī mujh ko to ye dhokā hai
ga.ī raat bhī patvāroñ se ḳhuub nibhī mañjdhāroñ kī
yaad dilā dī hai sūraj ke ās-pās ik badlī ne
kaalī qamīsoñ ke saa.e meñ dhuup saped ġharāroñ kī
pīpal ke pattoñ ke saa.e kab tak tumheñ sarāheñge
ek na ik din qismat jaag uThegī rāh-guzāroñ kī
ai gul-e-dāman-e-rashk-e-gulistāñ ham se hamārā haal na pūchh
sehn-e-chaman ke vīrānoñ meñ sūrat dekh bahāroñ kī
ik bujhtī lakḌī se ik sho.ala lahrāyā hai jis vaqt
ḳhāna-ba-doshoñ ke ḳheme meñ baat chhiḌī maTiyāroñ kī
tere hijr meñ jaam na khankeñ patta na khaḌke aah na ho
kis dariyā meñ Duub mareñ āvāzeñ chaukī-dāroñ kī
us be-ruḳh ne bedardī se rātoñ rātoñ rulvāyā
dard kā had se baḌh jaanā Thahrī jo davā bīmāroñ kī
aao ik do pal sustā leñ maazī kī dīvār tale
sej bhī hai nauras kaliyoñ kī barkhā bhī añgāroñ kī
aise kahāñ nasīb hamāre bāyāñ añg phaḌak uTThe
kaun ḳhabar hai dukhiyā jaag meñ ham paapī dukhiyāroñ kī
ham ko kisī se gilā nahīñ hai jaan ga.e pahchān ga.e
vīrāñ diloñ ke vīrāne haiñ duniyā duniyā-dāroñ kī
ek zamāna guzrā ham bhī tere shahr ke baasī the
aaj bhī āñkhoñ meñ phirtī hai sūrat tere dayāroñ kī
go qadmoñ se judā hue vo rāh-guzāreñ der huī
lekin dil par jam sī ga.ī hai dhuul in rāh-guzāroñ kī
ḳhair un dinoñ to chāk-garebānoñ kī izzat hotī thī
aaj to ḳhair se tere shahr meñ izzat hai dastāroñ kī
'ashk' mire ash.ār ke ātish-pāroñ se dhīre dhīre
bastī bastī phail rahī hai aañch in ke ruḳhsāroñ kī