Bimal Krishn Ashk

jism mein KHwahish na thi ehsas mein kanTa na tha

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
jism meñ ḳhvāhish na thī ehsās meñ kāñTā na thā
is tarah jaagā ki jaise rāt-bhar soyā na thā
ab yahī dukh hai hamīñ meñ thī kamī us meñ na thī
us ko chāhā thā magar apnī tarah chāhā na thā
jaane vaale vaqt ne dekhā thā muḌ kar ek baar
go hameñ pahchāntā kam thā magar bhūlā na thā
ham bahut kaafī the apne vāste jaise bhī the
koī ham sā dost koī ham sā begāna na thā
ajnabī rāheñ na jaane kis tarah āvāz deñ
jab safar par chal paḌe the kis liye sochā na thā
paañv kā chakkar liye phirtā rahegā dosto
aur phir sochoge apne shahr meñ kyā kyā na thā
ham bhī un rātoñ meñ thālī par diyā rakh kar chale
jab shivāle kī imārat kā koī dar vā na thā
farz kī manzil ne merī gumrahī bhī chhīn lī
varna 'ashk' is rastī-bastī raah meñ kyā kyā na thā
Top Urdushayar.com