dil kī zabāñ se us ko sadā denā chāhiye
baiThe galā to aise bulā lenā chāhiye
nazreñ churā bachā ke uThā lenā chāhiye
auroñ ke dard kā bhī mazā lenā chāhiye
bistar pe āsmān ke ThiThure hai chandr-mā
bādal idhar-udhar se dabā lenā chāhiye
kāñdhe samay ke bojh se shal ho ga.e to kyā
ye bojh muskurā ke uThā lenā chāhiye
kuchh gumrahī tumheñ pe nahīñ farz rahravo
manzil ko bhī to raah meñ aa lenā chāhiye
aise buzurg baḳht rahā jin kā nā-rasā
aisoñ se zindagī kī duā lenā chāhiye
aa.ina tak to ulTī kahe hai agar fareb
khānā ho koī dost banā lenā chāhiye
un ko parā.e 'ashk' lageñ haiñ agar aziiz
ġhairoñ meñ apnā naam likhā lenā chāhiye