Bimal Krishn Ashk

mom hai aankhon ka patthar dekh to

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
mom hai āñkhoñ kā patthar dekh to
jaise maiñ royā huuñ ro kar dekh to
ġham kī manzil is qadar suunī nahīñ
do-ghaḌī hamrāh chal kar dekh to
raah meñ bhī tujh se tanhā log haiñ
ghar meñ hai ghar se nikal kar dekh to
lū rukī to khiḌkiyāñ khulne lagīñ
har darīche meñ hai ḳhanjar dekh to
tere jalvoñ se makāñ bhar jā.egā
aks hai ā.īna ban kar dekh to
maiñ bhī shāyad jī sakūñ tere baġhair
ek din mujh se bichhaḌ kar dekh to
ḳhāmushī kā daur ruḳhsat ho chukā
maan hī jā.egā kah kar dekh to
tū ne jis jalve ko parda kar diyā
ghūmtā-phirtā hai ghar ghar dekh to
terī āñkheñ bhī bhar aa.eñ ġhāliban
tū bhī merā naam le kar dekh to
gore gāloñ meñ gaḌhe paḌ jā.eñge
ashk' un ko gudgudā kar dekh to
Top Urdushayar.com