jis kī har baat meñ qahqaha jazb thā maiñ na thā dosto
vo jo hañstā hañsātā thā is shahr meñ ho liyā dosto
ek ek kar ke ahl-e-ilm chal diye shahr vīrān hai
ek le-de ke maiñ bach rahā huuñ so mujh meñ hai kyā dosto
ek do phuul the sukh ke Tahnī pe so vo bhī murjhā ga.e
varna is peḌ pe har samay har taraf rañg thā dosto
bā-vafā mehrbāñ sab ke sab shahr se ho chuke the bidā
jab yahāñ aa.e the ham vafā mehr kā kaal thā dosto
ek lamhe vo mujh paas chup-chāp sā baiTh kar uTh gayā
dil se uThtā rahā muddatoñ muddatoñ shor sā dosto
ham havas kī tarah ishq karte rahe ruuh bhī jism bhī
apnī bedāriyoñ kā sila ḳhvāb hī ḳhvāb thā dosto
ye na milnā bhī ik aur ehsān hai bevafā.ī nahīñ
haal dekhā na jaatā thā ahbāb se 'ashk' kā dosto