Javed Shaheen

uske liye aanhken dar-e-be-KHwab mein rakh dun

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
us ke liye āñhkeñ dar-e-be-ḳhvāb meñ rakh duuñ
phir shab ko jalā kar unheñ mehrāb meñ rakh duuñ
sūrat hai yahī ab to guzarnā hai yūñhī vaqt
jis baat ko dil chāhe use ḳhvāb meñ rakh duuñ
phirte haiñ sadā jis meñ samundar bhī zamīñ bhī
ye puurā falak bhī usī girdāb meñ rakh duuñ
ye saare sitāre kisī dariyā meñ bahā duuñ
bas chāñd pakaḌ kar kisī tālāb meñ rakh duuñ
kapḌe jo mujhe tañg hoñ pahnā duuñ ḳhalā ko
aur ḳhvāb purāne kahīñ mahtāb meñ rakh duuñ
itnā bhī na āsāñ ho yahāñ pyaas bujhānā
bahtā huā dhoka sā kahīñ aab meñ rakh duuñ
sab kuchh hī gañvā dene se behtar hai ki 'shāhīñ'
ḳhāshāk-e-dil-o-jāñ rah-e-sailāb meñ rakh duuñ
Top Urdushayar.com