bhūlī-bisrī ḳhvāhishoñ kā bojh āñkhoñ par na rakh
ḳhūb-sūrat ā.īnoñ meñ ġham kā pas-manzar na rakh
dekh baḌh kar shoḳhiyāñ maujoñ kī aur qismat kā khel
kashtiyāñ dariyā ke sanjīda kināroñ par na rakh
yā to uḌ jā saath le kar qaid kī majbūriyāñ
varna apnī jur.atoñ kā naam bāl-o-par na rakh
ham to sar rakhte haiñ sajdoñ ke liye majbūr haiñ
tū agar sajdoñ kā qātil hai to sañg-e-dar na rakh
dene vaale sar diyā hai to koī saudā abhī de
varna in kāñdhoñ pe ye bekār bār-e-sar na rakh
bevafā.ī kī alāmat ban chuke asnām sab
dil ke but-ḳhāne meñ 'raunaq' ab koī patthar na rakh