mauja-e-dard se jismoñ meñ ravānī de jā
ḳhushk dariyāoñ nadī nāloñ ko paanī de jā
kuchh to samjhā de tilismāt-e-shab-o-roz mujhe
in hisāroñ meñ koī bāb-e-ma.ānī de jā
zulmat-e-habs dil-o-jāñ meñ jalā sham.a huā
tū kahīñ hai to mujhe apnī nishānī de jā
maiñ subuk-sair sahī mujh ko tū pur-ḳhas na banā
in havāoñ meñ mujhe thoḌī girānī de jā
nā-mukammal hai koī bāb-e-chaman jin ke baġhair
qissa-e-gul ke vo aurāq-e-ḳhizānī de jā
kab se be-āb haiñ ā.īne mirī āñkhoñ ke
un na.e chehroñ meñ kuchh shakleñ purānī de jā
aag barsāte hue din kī hadeñ bāñdh kabhī
garm shāmoñ meñ koī shaam suhānī de jā
har ghaḌī dil se gurezāñ haiñ umīdeñ 'shāhīñ'
in makīnoñ ko zarā shauq-e-makānī de jā