Naseem Ansari

mere kahne se to dil un par mera aaya na tha

Naseem Ansari

mere kahne se to dil un par mirā aayā na thā
ā.īne ko maiñ ne ḳhud patthar se Takrāyā na thā
jo huā jo kuchh huā merī ḳhatā merā qusūr
toḌ kar ahd-e-vafā kyā vo bhī pachhtāyā na thā
maiñ ne dekhī hai amīr-e-shahr kī vo muflisī
daulat-e-duniyā thī lekin ġham kā sarmāya na thā
ham ne sochā ab farāz-e-dār se dekheñ use
zindagānī kā koī manzar hameñ bhāyā na thā
tujh ko hī maqsūd thī apne liye kuchh bandagī
varna aadam ne tirī jannat ko Thukrāyā na thā
Top Urdushayar.com