mire laboñ pe aate aate koī baat thak ga.ī
ye kyā huā ki chalte chalte kā.enāt thak ga.ī
maiñ raushnī pe zindagī kā naam likh ke aa gayā
use miTā miTā ke ye siyāh raat thak ga.ī
maiñ zindagī ke fāsloñ ko nāpne nikal paḌā
qarīb-e-manzil-e-safar mirī hayāt thak ga.ī
baḌā kaThin hai dosto ḳhud apnī zaat kā safar
kabhī kabhī to yuuñ huā ki apnī zaat thak ga.ī
rahe junūñ ke hausle buland se buland-tar
ḳhud āgahī hazār baar de ke maat thak ga.ī