mirā pyārā hai nā-farmāñ hamesha aur pyāroñ meñ
nahīñ dekhā kasū ne lāla-rū aisā hazāroñ meñ
apas ushshāq kuuñ pahchānte haiñ ḳhuub ḳhush-chashmāñ
ajab mardum-shanāsī hai narā.in ke ishāroñ meñ
tirī zulfāñ ke pech-o-tāb kī tārīf kuuñ sun kar
gayā pātāl ko bāsuk ḳhajālat khīñch māroñ meñ
base haiñ shauq suuñ jā kar guloñ meñ raat kuuñ shāyad
ki aatī hai gul-andāmāñ ke baasī baas hāroñ meñ
Dare kyuuñ sher-dil-āshiq raqībāñ ke bidakne suuñ
koī bāvar nahīñ kartā shujā.at in chakāroñ meñ
darāzī jab diyā yaldāñ ko terī zulf lambī ne
burā.ī tab lagī karne ko har shab baiTh tāroñ meñ
apas kuuñ ḳhaak kar gulzār honā hai agar tujh kuuñ
nahīñ aayā nazar meñ sabza-ḳhār uupar bahāroñ meñ
bilā gardāñ hue gar dekh kar aahū achambhā na.iiñ
ki ho.e hai mahv nargis terī añkhiyāñ ke nazāroñ meñ
parī-rūyān-e-gulshan suuñ le aa.ī sīm-o-zar nargis
nazar-bāzāñ bajā ginte haiñ us kuuñ māldāroñ meñ
na kah sīmāb ke mānind mere dil kuuñ ai chanchal
tirā betāb hai mumtāz saare be-qarāroñ meñ
nikalnā māh-rū ke daam se dushvār hai yārāñ
rahā hai 'mubtalā' kā dil ulajh zulfāñ ke tāroñ meñ