māh-rū nikle hai nit ujlī tarah
is sabab raushan hai dil putlī tarah
sun mirā ronā huā Tuk mehrbāñ
yaar ne barsāt meñ badlī tarah
ġhamza kī shamshīr chamkātā hai vo
kyuuñ na ho dil muztarib bijlī tarah
machchhī detā na.iiñ mujhe vo bahr suuñ
chhoḌ dī us ne magar aglī tarah
kyuuñ mire aage akaḌ chaltā hai aaj
mujh ko bhūlī na.iiñ tirī pichhlī tarah
sar-nigūñ hai sarv-qad kī fikr meñ
bed ne majnūñ kī sab lailī tarah
ishq ne aa kar pachhāḌā dil katīñ
gurg niiñ aahū siiñ kī jañgalī tarah
mujh divāne kī nazar meñ ai parī
taash aur kamḳhāb hai kamlī tarah
gaalī de kar muskurātā hai vo shoḳh
'mubtalā' ab yuuñ na.ī niklī tarah