Obaidullah Khan Mubtala

tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya

Obaidullah Khan Mubtala

tujh chehra-e-gul-rañg niiñ ḳhūbāñ ko gul-gūnī diyā
tere lab yāqūt ne mujh dil kuuñ pur-ḳhūnī diyā
dīvāna ho ghar chhoḌ kar jaatā rahā sahrā taraf
ai rashk-e-lailā tū ne jab āshiq ko majnūnī diyā
mazmūn aalī bāñdhtā huuñ tere qad kī vasf meñ
mujh tab.a kuuñ sohbat ne terī jab se mauzūnī diyā
barjā hai gar maġhrūr huuñ apne dilāñ meñ shā.irāñ
nirḳh-e-suḳhan kuuñ tujh suḳhan-fahmī ne afzūnī diyā
farhat kī sūrat niiñ nazar aa.ī mujhe ai nūr-e-chashm
terī judā.ī meñ magar aalam ko mahzūnī diyā
dīdār kī hai ishtihā saaf ai tabīb-e-mehrbāñ
tujh shauq ne goyā mujhe ma.ajūn-zar.ūnī diyā
kahte haiñ saare barahman mujh 'mubtalā' suuñ ai sanam
zunnār-e-gesū khol tuuñ har dil kuuñ baftūnī diyā
Top Urdushayar.com