fariyād ki vo shoḳh sitamgār na aayā
mujh qatl kuuñ le haath meñ talvār na aayā
maiñ pamba-naman narm kiyā bistar-e-tan kuuñ
vo piū qadam dharne ko yakbār na aayā
chhuT aah pichhe kaun mire dard kā ahvāl
mujh dukh kī ḳhabar lene vo ġham-ḳhvār na aayā
jaane hai vafādār mujhe dil mane lekin
dahshat se raqībāñ kī vo nā-chār na aayā
ārām gayā bhuuk nahīñ niiñd ga.ī bhuul
afsos ki vo tāla-e-bedār na aayā
bulbul kī naman aas hai nit baas kī mujh kuuñ
sad-haif mire paas vo gulzār na aayā
bāzār-e-suḳhan garm kiyā us kī sifat suuñ
mujh sher kā haihāt ḳharīdār na aayā
likh baar sahā baaġh meñ maalī kā tahūrā
par sair katīñ vo gul-e-be-e-ḳhār na aayā
ai 'mubtalā' ye baat likhā dil ke upar maiñ
ik roz mujh āġhosh meñ vo yaar na aayā