nazar mat bul-havas par kar are chanchal sambhāl añkhiyāñ
ki us bad-fe.al suuñ khīñcheñgī āḳhir infi.āl añkhiyāñ
judā.ī se hove mafrūr jaañ qālib ke suuba suuñ
apas dīdār suuñ kartī haiñ phir us kuuñ bahāl añkhiyāñ
nigāh-e-garm gul-rū siiñ huā raushan yū maalī par
ki ab sūraj naman nargis pe lādeñgī zavāl añkhiyāñ
huā ma.alūm bad-kārāñ taraf nit siin karne suuñ
ki rajvāre meñ bastī haiñ sirījan kī juhhāl añkhiyāñ
jahāñ ke rāvtāñ suuñ ġhamza ke neza kuuñ chamkā kar
nazar-bāzī ke maidāñ biich kartī haiñ qitāl añkhiyāñ
muravvat kā asar dastā nahīñ us shoḳh chitvan meñ
magar rakhtī haiñ āshiq suuñ apas dil meñ malāl añkhiyāñ
siyah-chashmī huī zāhir lalan kī chashm-poshī meñ
chhupātī haiñ apas mushtāq suuñ apnā jamāl añkhiyāñ