asīr-e-dasht-e-tilismāt aab se nikle
bahut dinoñ meñ safīne sarāb se nikle
tapish hai aisī shaboñ meñ ki uḌ ga.ī nīndeñ
sabhī chamakte hue rañg ḳhvāb se nikle
hisār-e-jabr se mumkin najāt thī lekin
jhukā ke sar na kisī tañg baab se nikle
kabhī to dard kā sho.ala zabān par bhaḌke
dahaktā ḳhuun ragoñ ke azaab se nikle
bhare gharoñ se bichhaḌne kā ġham nahīñ 'shāhīn'
yahī bahut hai ki shahr-e-ḳharāb se nikle