Deepti Mishra

ajab kashmakash hai ajab hai kashakash ye kya bich mein hai hamare tumhaare

Deepti Mishra

ajab kashmakash hai ajab hai kashākash ye kyā biich meñ hai hamāre tumhāre
zarūrat zarūrat zarūrat zarūrat zarūrat kī ḳhātir marāsim haiñ saare
haiñ chāroñ taraf hī bahut log lekin haqīqat meñ koī bhī apnā nahīñ hai
dikhāvā dikhāvā sabhī kuchh dikhāvā dikhāve meñ jiite haiñ saare ke saare
bulandī pe jin ko bhī dekhā ye paayā sabhī aasrā DhūñDte phir rahe haiñ
kise sarparastī ke qābil samajhiye jiye jā rahe haiñ ḳhud apne sahāre
sabhī apnī apnī kahe jā rahe haiñ hameñ ham se chhīne liye jā rahe haiñ
hameñ apnī ḳhātir bhī rahne do thoḌā nahīñ koī apnā sivā ab hamāre
hameñ apnī zad meñ hī rahnā paḌegā ḳhudī ko ḳhudī meñ Dubonā paḌegā
na aape se bāhar tū aanā samundar samundar ko samjhā rahe haiñ kināre
faqat dūriyoñ meñ hī saarī kashish hai ki nazdīkiyoñ se bharam TūTte haiñ
falak pe chamaknā hai qismat hamārī zamīñ se ye kahte haiñ TuuTe sitāre
ye jhūTe se rishte ye farzī se naate kahāñ tak nibhā.eñ kahāñ tak nibhā.eñ
bahut ho chukā bas bahut ho chukā ab koī to baḌhe ye makhoTe utāre
Top Urdushayar.com