maiñ ne apnā haq māñgā thā vo nāhaq hī ruuTh gayā
bas itnī sī baat huī thī saath hamārā chhūT gayā
vo merā hai āḳhir ik din mujh ko mil hī jā.egā
mere man kā ek bharam thā kab tak rahtā TuuT gayā
duniyā bhar kī shān-o-shaukat jyuuñ kī tyuuñ hī dharī rahī
mere bai-rāgī man meñ jab sach aayā to jhuuT gayā
kyā jaane ye aañkh khulī yā phir se koī bharam huā
ab ke aise uchaTā dil kuchh chhoḌā aur kuchh chhūT gayā
laḌte laḌte āḳhir ik din panchhī kī hī jiit huī
parān pakherū ne tan chhoḌā ḳhālī piñjra chhūT gayā