be-had bechainī hai lekin maqsad zāhir kuchh bhī nahīñ
paanā khonā hañsnā ronā kyā hai āḳhir kuchh bhī nahīñ
apnī apnī qismat sab kī apnā apnā hissa hai
jism kī ḳhātir lākhoñ sāmāñ ruuh kī ḳhātir kuchh bhī nahīñ
us kī baazī us ke mohre us kī chāleñ us kī jiit
us ke aage saare qādir māhir shātir kuchh bhī nahīñ
us kā honā yā nā honā ḳhud meñ ujāgar hotā hai
gar vo hai to bhītar hī hai varna ba-zāhir kuchh bhī nahīñ
duniyā se jo paayā us ne duniyā hī ko sauñp diyā
ġhazleñ nazmeñ duniyā kī haiñ kyā hai shā.ir kuchh bhī nahīñ