Javed Shaheen

beganagi ke baam se pal-bhar utar ke dekh

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
begānagī ke baam se pal-bhar utar ke dekh
maiñ kaun huuñ mujhe bhī zarā aañkh bhar ke dekh
kyuuñ bad-gumāñ hai ḳhalq-e-ḳhudā terī zaat se
logoñ meñ baiTh aur zarā baat kar ke dekh
aisī kiran ki joḌ sake rishta-e-badan
in zulmatoñ meñ fāsle qalb-o-nazar ke dekh
dasht-e-balā meñ kitne bagūle haiñ ghaat meñ
maiñ to guzar chukā zarā tū bhī guzar ke dekh
e.azāz-e-khusravī se na merī vafā ko naap
fursat mile kabhī to mire zaḳhm sar ke dekh
kis zahr ke asar se ulajhtī hai merī saañs
dam bhar dhuāñ dhuāñ sī fazā meñ Thahar ke dekh
'shāhīñ' vo gaañv phir tirī qismat meñ ho na ho
behtar hai ḳhvāb ujḌe hue bām-o-dar ke dekh
Top Urdushayar.com