barguzīda haiñ havāoñ ke asar se ham bhī
dekhte haiñ tujhe duniyā kī nazar se ham bhī
apne raste meñ baḌe log the raftār-shikan
aur kuchh der meñ nikle zarā ghar se ham bhī
raat us ne bhī kisī lamhe ko mahsūs kiyā
lauT aa.e kisī be-vaqt safar se ham bhī
sab ko hairat-zada kartī hai yahāñ be-ḳhabarī
chauñk paḌte the yuuñ hī pahle ḳhabar se ham bhī
zard chehre ko baḌe shauq se sab dekhte haiñ
TūTne vaale haiñ sarsabz shajar se ham bhī
kaun sā ġhair ḳhudā jaane yahāñ hai aisā
burqa oḌhe hue aa.e the idhar se ham bhī