ḳhushī se apnā ghar ābād kar ke
bahut ro.eñge tum ko yaad kar ke
ḳhayāl o ḳhvāb bhī haiñ sar jhukā.e
ġhulāmī baḳhsh dī āzād kar ke
jo kahne ke liye hī aabrū thī
vo izzat bhī ga.ī fariyād kar ke
parinde sar pe ghar rakkhe hue haiñ
mujhe chhoḌeñge ye sayyād kar ke
yahāñ vaise bhī kyā ābād rahtā
ye dhaḌkā to gayā barbād kar ke
kahāñ hamdardiyoñ kī daad miltī
bahut achchhe rahe bedād kar ke
use bhī kyā pata thā haal apnā
taḌaptā hai sitam ījād kar ke