yuuñ hī ham dard apnā kho rahe haiñ
yahī ronā hai ham kyuuñ ro rahe haiñ
qayāmat-ḳhvāb se āñkheñ khulī thiiñ
phir āñkheñ khol kar ham so rahe haiñ
bahut zarḳhez sailāb-e-balā thā
yahāñ ab ḳhuub fasleñ bo rahe haiñ
havā-e-vasl ne vo ḳhaak uḌaa.ī
abhī tak haath muñh ham dho rahe haiñ
diye saare badan meñ tairte haiñ
kyuuñ itnā paanī paanī ho rahe haiñ
bahut rāhat-rasāñ hai ḳhauf-e-jāñ bhī
sulagtī rut meñ ThanDe ho rahe haiñ