zard gulāboñ kī ḳhātir bhī rotā hai
kaun yahāñ par maile kapḌe dhotā hai
jis ke dil meñ hariyālī sī hotī hai
sab ke sar kā bojh vahī to Dhotā hai
sat.hī logoñ meñ gahrā.ī hotī hai
ye Duube to paanī gahrā hotā hai
sadiyoñ meñ koī ek mohabbat hotī hai
baaqī to sab khel tamāshā hotā hai
dukh hotā hai vaqt-e-ravāñ ke Thaharne se
ḳhush hone ko vahī bahānā hotā hai
sharmāte rahte haiñ gahre log sabhī
dariyā bhī to paanī paanī hotā hai
nuur Tapaktā hai zālim ke chehre se
dekho to lagtā hai koī sotā hai