bahut kuchh vasl ke imkān hote
sharārat karte ham shaitān hote
simaT aa.ī hai ik kamre meñ duniyā
to bachche kis tarah nādān hote
kisī din uqda-e-mushkil bhī khultā
kabhī ham par bhī tum āsān hote
ḳhatā se muñh chhupā.e phir rahe haiñ
farishte ban ga.e insān hote
har ik dam jaañ nikālī jā rahī hai
ham ik dam se kahāñ be-jān hote