ā.īne madd-e-muqābil ho ga.e
darmiyāñ ham un ke haa.il ho ga.e
kuchh na hote hote ik din ye huā
saikḌoñ sadiyoñ kā hāsil ho ga.e
kashtiyāñ aa kar gale lagne lagīñ
Duub kar āḳhir ko sāhil ho ga.e
aur ehsās-e-jihālat baḌh gayā
kis qadar paḌh likh ke jāhil ho ga.e
apnī apnī raah chalne vaale log
bhiiḌ meñ āḳhir ko shāmil ho ga.e
tandurustī zaḳhm-e-kārī se huī
ye huā sharminda qātil ho ga.e
husn to puurā adhūre-pan meñ hai
sab adhūre māh-e-kāmil ho ga.e