Javed Shaheen

chaDha pani zara tu apne dhaare se nikal aaya

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
chaḌhā paanī zarā tū apne dhāre se nikal aayā
achānak ik jagah dariyā kināre se nikal aayā
bahut raushan thā vo aur āḳhir-e-shab ke ufuq par thā
mire hī sāmne din us sitāre se nikal aayā
mujhe apne badan kā ḳhas jalānā thā zamistāñ meñ
mirā ye kaam dil hī ke sharāre se nikal aayā
tah-e-dariyā paḌe rahnā thā maiñ ne bhī guhar-sūrat
thī mauj-e-tund ik jis ke sahāre se nikal aayā
safar ko ik jagah se kar liyā kuchh lambā aur mushkil
ġhalat rasta thā vo jis ke ishāre se nikal aayā
hisāb-e-dostāñ karne hī se mālūm ye hogā
ḳhasāre meñ huuñ yā ab maiñ ḳhasāre se nikal aayā
bahut mushkil thā kuchh us husn kī tārīf meñ kahnā
mirā matlab magar ik isti.āre se nikal aayā
zamīn-e-dil ko bas thoḌe se paanī kī zarūrat thī
ye paanī ik guzarte abr paare se nikal aayā
mujhe phir qaid kar lenā thā us ke husn ne 'shāhīñ'
munāsib vaqt par maiñ ik nazāre se nikal aayā
Top Urdushayar.com