ārzūoñ kā hasīñ paikar tarāsh
ik sarāb-e-sub.h kā manzar tarāsh
ik gharauñdā reg-e-sāhil se banā
barf ke patthar se ik dilbar tarāsh
dīda-e-namnāk se dariyā bahā
āh-e-sho.ala-bār se mahshar tarāsh
is hisār-e-zāt se bāhar nikal
gumbad-e-be-dar meñ tū ik dar tarāsh
bahr-e-ishrat meñ sadaf miltā nahīñ
qatra-e-ḳhūñ-nāb se gauhar tarāsh
teġh-e-zañg-ālūd ko phir aab de
jabr-o-istibdād ke phir sar tarāsh
tā.ir-e-ḳhvāhish kī lambī hai uḌaan
us ke bāl-o-par ko tū akasr tarāsh