sitam tū kartā hai lekin duā bhī detā hai
mirā harīf mujhe hausla bhī detā hai
hai jis kā ek tabassum qarār-e-jāñ apnā
usī kā tarz-e-taġhāful rulā bhī detā hai
bajā ki hijr kā aalam azaab hai yaaro
magar ye arsa-e-furqat mazā bhī detā hai
hai dil-navāz ġhazab kā magar ye sho.ala-e-ishq
kabhī shagūfa-e-dil ko jalā bhī detā hai
kabhī hai maut meñ pinhāñ najāt kā pahlū
kabhī vo ziist kī sūrat sazā bhī detā hai