ab vo kahte haiñ mudda.ā kahiye
sochtā huuñ ki 'naqsh' kyā kahiye
zindagī zindagī se ruuTh ga.ī
haa.e ab kis ko āshnā kahiye
hai taġhāful kā kyuuñ gila un se
āh-e-sozāñ ko nā-rasā kahiye
apnī kashtī to Duub hī jaatī
azm-e-mohkam ko nāḳhudā kahiye
thartharāhaT hayā kī us ruḳh par
raqs-e-nairañgī-e-sabā kahiye
khoī khoī haiñ dhaḌkaneñ dil kī
phir mohabbat kī ibtidā kahiye
ittifāqan ye aap kā milnā
ek rañgīn hādsa kahiye
nā-shanās-e-alam ho jo hastī
sach to ye hai ki be-mazā kahiye
dushman-e-jāñ to dushman-e-jāñ hai
ġhamgusāroñ ko 'naqsh' kyā kahiye