ab kyā kaheñ kisī se ye apnī zabāñ se ham
be-zār ho chuke haiñ fareb-e-jahāñ se ham
nazzāra-e-jamāl kā aalam ajiib thā
mad.hosh o be-ḳhabar the vahāñ be-zabāñ se ham
ab hāl-e-iztirāb-e-tabī.at na pūchhiye
taḌpe haiñ umr bhar tire dard-e-nihāñ se ham
ye zor-e-barq-o-bād ye tūfān al-amāñ
mahrūm ho na jaa.eñ kahīñ āshiyāñ se ham
jin kī mahak se ruuh pe taarī hai be-ḳhudī
vo phuul chun rahe haiñ tire gulistāñ se ham
ta.amīr-e-nau hai parda-e-taḳhrīb meñ nihāñ
samjhe haiñ rāz-e-dahr ye daur-e-jahāñ se ham
manzil pe ho rahī haiñ qayāmat kī shorisheñ
ġhāfil paḌe hue haiñ magar kārvāñ se ham
nāseh! ḳhayāl-e-tark-e-mohabbat se fā.eda
vāqif nahīñ haiñ kyā alam-e-jāvedāñ se ham
ai 'naqsh' muḳhtasar ye haqīqat hai maut kī
phir aa ga.e vahīñ pe chale the jahāñ se ham