Javed Shaheen

aankh mein kitne tilismat-e-jahan paoge

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
aañkh meñ kitne tilismāt-e-jahāñ pāoge
ḳhuun rañgīñ hai to sau rañg yahāñ pāoge
ho farāġhat to zarā jhāḌū ḳhayāloñ ke shajar
shāḳh-sāroñ pe bahut barg-e-ḳhizāñ pāoge
yuuñ sambhāle na phiro dil meñ shikasta shīshe
kirchiyāñ bikhrīñ to rag rag meñ ravāñ pāoge
mauj-e-reg-e-daraḳhshāñ ke ta.āqub meñ raho
in sarāboñ haiñ meñ paanī kā nishāñ pāoge
ye ḳharāba hī sahī is se na bāhar niklo
chhoḌ kar dil ko kahīñ phir na amaañ pāoge
rishta-e-tār-e-nazar se hai ujāloñ kā bharam
aañkh jhapkī to koī aur samāñ pāoge
saañs uljhī huī aatī hai to hai kis kī ḳhatā
aag andar hai to andar hī dhuāñ pāoge
kis qadar shor hai logoñ se bharī galiyoñ meñ
ġhaur se dekho bahut ḳhālī makāñ pāoge
dasht-e-dil hī se koī chashma nikālo 'shāhīñ'
ḳhushk-sālī meñ yahāñ paanī kahāñ pāoge
Top Urdushayar.com