talḳhī-e-hālāt-e-daurāñ kā bayāñ hai zindagī
dard-o-ġham kī ik musalsal dāstāñ hai zindagī
allāh allāh ye safar ye raah ye dushvāriyāñ
vaqt ke shānoñ pe ik bār-e-girāñ hai zindagī
jin kī halchal meñ hai tūfānī havāoñ kā ḳharosh
un taḌaptī ārzūoñ kā jahāñ hai zindagī
shiddat-e-ehsās-e-nākāmī kī ātish-gāh se
ḳhirman-e-jazbāt par shola-fishāñ hai zindagī
hai kise ab zindagī ke dard-e-pinhāñ kī ḳhabar
apnī barbādī kī ḳhud hī rāz-dāñ hai zindagī
ye umīdoñ kā chaman hai rashk-e-sad husn-e-chaman
is chaman kī ik bahār-e-jāvedāñ hai zindagī
hai usī ke nuur se tābānī-e-kaun-o-makāñ
zulmat-e-bazm-e-jahāñ meñ zau-fishāñ hai zindagī
us kī marzī par hai har qaid o rihā.ī munhasir
ḳhud qafas hai aur ḳhud hī āshiyāñ hai zindagī
'naqsh' dard-e-qaum hai qalb o jigar meñ shola-zan
jazba-e-ahl-e-vatan kī tarjumāñ hai zindagī