Mahesh Chandra Naqsh

hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi

Mahesh Chandra Naqsh

Meerut, Uttar pradesh, India

1922-1980
hai āfat-e-jāñ husn kī shoḳhī bhī adā bhī
hoñToñ pe tabassum bhī hai nazroñ meñ hayā bhī
shāmil tirī āvāz meñ tāroñ kī navā bhī
sharminda tire nuur se kirnoñ kī ziyā bhī
mahfil hai ki mutrib ke ishāroñ pe miTī hai
suntā hai koī sāz-e-shikasta kī sadā bhī
rakhtā hai baġhāvat ke sharāre bhī nazar meñ
ye ishq jo hai paikar-e-taslīm-o-razā bhī
ruḳh pher diyā tund havāoñ kā kisī ne
hālāt se apne koī majbūr rahā bhī
bach kar hī chale ham to zamāne kī ravish se
āzād-ravī kā hameñ ehsās huā bhī
akasr lab-e-la.alīñ ke tabassum kī kiran ne
ummīd ke ḳhākoñ meñ nayā rañg bharā bhī
ai 'naqsh' kareñ soz-e-tamannā kā bayāñ kyā
sau baar diyā dil kā jalā bhī hai bujhā bhī
Top Urdushayar.com