lau de uThā charāġh-e-tamannā bujhā huā
guzrā ye aaj kaun idhar dekhtā huā
ye hādsāt bhī to guzarne zarūr the
ai ishq kyuuñ udaas hai jo kuchh huā huā
vo rañg kyā hue vo bahāreñ kidhar ga.iiñ
ai ham-safīr saarā chaman hai luTā huā
yuuñ aaj be-qarār hai duniyā-e-ārzū
jis tarah tilmilā.e koī dil dukhā huā
kyuuñ aaj bazm-e-zīst meñ be-kaifiyāñ sī haiñ
ai husn terī mast-nigāhī ko kyā huā
girdāb-e-ġham hai aur mirī kashtī-e-umīd
phir bahr-e-zindagī meñ hai tūfāñ uThā huā
apnā patā na jāda-e-manzil kī kuchh ḳhabar
ḳhud miT gayā huuñ 'naqsh' unheñ DhūñDhtā huā