jo sun kar lagī zer-e-lab muskurāne
ye kyā kah diyā thā kalī se sabā ne
mire sher anmol la.al-o-gohar haiñ
luTā.e tire ġham ne kyā kyā ḳhazāne
shafaq khil uThī champa.ī ārizoñ par
nikhārā tire rañg-e-ruḳh ko hayā ne
rahā hai vahī dil kā ehsās-e-ulfat
badalte rahe laakh karvaT zamāne
mohabbat kā un ko yaqīñ aa chalā hai
haqīqat bane jā rahe haiñ fasāne
jhijhak kar kisī ne churā.īñ jo nazreñ
charāġh-e-tamannā lagā jhilmilāne
kabhī ye bhī sochā hai ai hañsne vaalo
agar paḌ ga.e tum ko aañsū bahāne
vo tūfān bād-e-muḳhālif kahāñ hai
jo uTThā thā ai 'naqsh' mujh ko miTāne